Aam tor se mahwari ko shuru kerne ke liye ham doctors koi dawa nahi detay hai. Qudrat ko apne waqt se chalne dena hi behtar hota hai lekin 17 baras ki umar tak agar mahwari shuru nahi huyee hai tu thori tashweesh ki baat hai aap ko kisi lady doctor se muaina karwana chahiye. Mahwari na shuru hone ki wajah maloom hone per iss ka ilaj kya jaa sakta hai. mahwari shuru ho jane per agar kisi wajah se hamal thaherne ke ilawah mahwari nahee hoti hai tu dawa di jaati hai, lekin koi bhi dawa doctor ke mashwaray ke beghair lena sahee nahi hai.
Mahwari Aabhi Tak Shuru Nahi Huyee - Noor Clinic