Ho sakta hai keh aap ko hormone mei kharabi ya iron ki kami ki shikayat ho. andam nahani mei infection bhi ho sakta hai. iss qisim ka infection generally dhobi ke dhulay kapro ya mahwari ke waqt istemal kiye jane waly pads se bhi infection ho sakti hai. general checkup karain aur andam nahani mei khujli ke liye lady doctor se rabta karain. hormone ki kharabi ke liye hormone mualij ki zaroorat hogi. baqi ilaj bhi baqaida tor se doctor se mashwara lene se ho jauy ga aor aap bilkul theek ho jaye gi. jaldi karain takeh mahwari chakkar phir se shuru ho sake.